zamin ki kai gardishen
meri sochon ke patton mein
chhup kar
hasin reshmin sazishen bun rahi hain
hasin reshmin sazishen
jin se
kal ki qaba
aane wale dhundlakon ke ujle amame
nai saaton ke dupaTTe bunenge
hasin reshmin sazishen
jin se
unche mahallat ki KHwab-gahon
ke barik parde
munaqqash ghilafon mein lipTe hue
narm takiye bunenge
hasin reshmin sazishen
aadmi ke liye
apni aankhon se chhupne ki KHwahish ko pura karengi
nae aane wale maani ki uryaniyan Dhanp lengi
Nazm
Koya
Nisar Nasik