sab kuchh yaad kar raha hun main
koi baat bhula dene ko
aur ye kaisi sachchai hai
aaj bhulne ki koshish mein
sadiyon ki tariKHen azbar kar baiTha hun
main hairan hun main hun pareshan
kaise chhupaun haalat apni
har koshish la hasil meri
aur ye kamra ye diwaren
khunTi se laTki shalwaren
ye be-raunaq buDhi raaten
farsh pe lipTi biti baaten
ye sab mujh par bojh bane hain
uf ye kaisa zulm hai mujh par
jab bhi main nanga hota hun
mere tan par chadar koi paDi hoti hai
wo bhi ek ghaDi hoti hai
jab sine par shahr khaDa ho
tab kuchh be-mani chiKHon se
ek matlab ki chiKH achanak main hathya lun
aur kisi KHamosh jagah tanha goshe mein
sara matlab chhin jhapaT kar
fauran us ka gala daba dun
main shayad kuchh bhul raha hun
han main sab kuchh bhul chuka hun
ab tanha KHali kamre mein
hath mein nanga chhura dabae
dauD raha hun bhag raha hun
ye bhi mujh ko yaad nahin ab
soya hun ya jag raha hun
qatl ke fauran baad magar phir
wo sab ka sab yaad rahega
jise bhulne ki koshish mein
sadiyon ki tariKHen azbar kar baiTha hun
Nazm
Koshish raegan
Chandrabhan Khayal