to ye dudh kosa hai!
ye dudh hai aur kosa hai
jis se badan ki nasen ungh jati hain
jis se mere dil ki ba-qaeda dhaDkanon mein
izafe ki surat nahin
ye wahi dudh hai jis ko farhad ki garmi-e-shauq ne
biston ki siyah choTiyon se utara
tu is ke lahu ki hararat ka juya hua
phir bhi kosa raha
ye wahi dudh hai
chandni ban ke jo garmiyon ke kisi mah ki chaudhwin raat ko
aasman par zamin par dilon mein nigahon mein
bahta hai lekin
kisi ke labon ko jalata nahin hai
ye suraj ka saya hai lawa nahin hai!
tum apne piyale ko bhaTTi mein rakh do!
ki ye dudh ubalta rahe
ye pyala bhi Dhal jae
ye dudh jal jae
aur is tarah mushk-e-nafa bane
jis ki KHushbu ki taqat na lae koi shaKHs bhi
jis ki KHushbu se har maghz se KHun bahne lage!
Nazm
Kosa dudh
Shahzad Hasan