la-e-zard par
koi hamd hai ki gila
kaho
meri pili aankh mein
bujhte KHun ka
alaw hai ki tila
kaho
mere dast-o-bazu
mein aaj bhi
koi lams qaid hai
aur sine ki
be-waqari
ke andarun
koi harf apna hi said hai
ki jise rasai
na mil saki
ye meri jhijhak ki
burid hai ki sila
kaho
kabhi ek baat na kah sakun
kabhi ab ki chiKH
mujhe chahiye wahi
dud dud sa
ek qurb ke darmiyan
koi KHwab KHwab sa
fasla
koi aaj mujh se
wo baat puchhe
ki jis ke mani-e-dur
jaanta hun main ab
ki hazar shoalon
ki rakh par
kisi bund aansu
ke sail mein
ye ganwae rishton
ka sard phul khila
kaho
lab-e-zard par
koi hamd hai ki gila
kaho!
Nazm
Koi KHwab KHwab sa fasla
Rajinder Manchanda Bani