aadhi raat ko phone baja
aur ubhri ek an-jaani maghlub sada
apni chiKH ki dahshat se
abhi abhi wo jagi hai malum hua
baizawi chehra
be-surat
sar par muDe-tuDe do sing
aur sine ke wast mein ek
panj-koni aankh
aankh ki putli mein mera hi aks muqayyad
aatish-fishan pahaD ki gahrai se ubhar kar
KHuni panje
bhench bhench kar
khurdure lahje mein wo chiKHa
apni marzi ki to subh bistar par
jism nahin
makDi ka jala paogi
mera hukm hai aa jao
aur barahna hote hi
mujh ko chhu kar
mere jaisi ban jao
aa jao
aa jao
aa jao
Nazm
Koi dud se ban jata hai wajud
Hamid Jeelani