main aaKHir kis ki jagat jagta hun
papoTon mein ye kis pani ka namkin zaiqa hai
meri putli mein kis ki raat hai
aur qarniya mein kaun se yug ka sawera hai
ye din bhar kaun
mizhgani kiwaDon ko musalsal kholta aur band karta hai
meri tar-e-nazar par baiTh kar
aaKHir zamane mein nazar kis ki utarti hai
main aankhon se ye kis manzar ke andar bhagta hun
main aaKHir kis ki jagat jagta hun?
bhala main kis ka sona so raha hun
ye reg-KHwab par bante bigaDte kya nishan hain
mere andar to jitne qafile chalte hain
sare ajnabi hain
main har ek KHwab mein koi shanasa DhunDta hun
ye kaisi aurten hain
jo sar mein ret ka afshan bhare
mujh ko jakaDti hain
jo baad-az-iKHtalat aahon se chiKHon se pighal kar
ret ho jati hain gili ret mein!!
ye bachche kis sadi ke hain
jo apne qahqaha-awar khilaune mere hathon mein
thama kar bhag jate hain
ye kis mabad ke jogi hain
sahifon ki zaban mein bolte hain
in ke farghul phaDphaDate hain
hawa mein rish uDti hai
ye main kis ki KHushi ko hans raha hun
kis ka rona ro raha hun
bhala main kis ka sona so raha hun?
main aaKHir kis ka jina ji raha hun
main sahra ka shajar hun
jis ki shaKHen ghonslon se jhuk gai hain
kirae ka makan hun
jis ke kamron mein parae log rahte hain
faraaz-e-koh par koi purana ghaar hun main
hawa se gunjta saya-zada viran khanDar hun
kabhi hun istada aur kabhi mismar hun main
fasil-e-shahr hon ya saya-e-diwar hun main
mere andar se hi koi mujhe batlae
main kya hun?
mere KHaliyon ke gile markazon mein band
D-n-a mere man bap ka hai
jo is ke gird pani hai
wo kis bechain sayyare ke sagar se uTha hai
main kis ko bhogta hun
ye aaKHir kaun mujh mein gunjta hai
sansanata hai
main aaKHir kis ka hona ho raha hun
Nazm
Koi basti ki mujh mein basti hai
Waheed Ahmad