koi aawaz deta hai
harir-o-parniyan jaisi sadaon mein
koi mujh ko bulata hai
kuchh aisa lams hai aawaz ka jaise
achanak faKHta ke Dher se komal paron par hath paD jae
aur un mein Dubta jae
bahut hi dur se aati sada hai
main lafzon ke maani ki gawahi de nahin sakti
magar har lafz mein ghungru bandhe hain
harim-e-jaan mein un ke panw dharte hi
kai bechain pazeben dhaDakti hain
lamhon mein ek diwali si sajti hai
koi aawaz deta hai
harir-o-parniyan jaisi sadaon mein
koi mujh ko bulata hai
Nazm
Koi aawaz deta hai
Mansoora Ahmad