gulshan-e-yaad mein gar aaj dam-e-baad-e-saba
phir se chahe ki gul-afshan ho to ho jaane do
umr-e-rafta ke kisi taq pe bisra hua dard
phir se chahe ki farozan ho to ho jaane do
jaise begane se ab milte ho waise hi sahi
aao do chaar ghaDi mere muqabil baiTho
garche mil-baiThenge hum tum to mulaqat ke baad
apna ehsas-e-ziyan aur ziyaada hoga
ham-suKHan honge jo hum donon to har baat ke bich
an-kahi baat ka mauhum sa parda hoga
koi iqrar na main yaad dilaunga tumhein
koi mazmun wafa ka na jafa ka hoga
gard-e-ayyam ki tahrir ko dhone ke liye
tum se goya hon dam-e-did jo meri palken
tum jo chaho to suno aur jo na chaho na suno
aur jo harf karen mujh se gurezan aankhen
tum jo chaho to kaho aur jo na chaho na kaho
Nazm
Koi aashiq kisi mahbuba se!
Faiz Ahmad Faiz