go hamein malum tha
ki ab wo silsila baqi nahin hai
go hamein malum tha ki
nuh aane ke nahin ab
han magar jab shahr mein pani dar aaya
hum ne kuchh mauhum ummidon ko pala
aur ek baDe pinDal pe yakja hue hum
aur ba-yak aawaz hum ne nuh ko phir se pukara
go hamein malum tha ki
nuh aane ke nahin ab
go hamein ehsas ye bhi tha ki hum ne
KHud hi wo sara samundar kaT kar
us ka ruKH moDa tha apne shahr ki jaanib
magar hum mutmain the
mauhum ummidon ko aae din jawan karte hue hum sab
ki phir se nuh aaenge
bulaenge
jilau mein apne taza kashtiyan
maKHluq-e-KHuda ke taza joDe laenge
aur hum phir se
nuh ki kashti mein pani se nikal jaenge ek din
ki ab pani fasilen toD kar
shahr ko dariya banane pe tula hai
ab nahin malum ki hum kis jagah hain kaun hain hum
hum abhi tak muntazir hain
ab hamein kaamil yaqin hai
ibn-e-maryam lauT aaenge
hamein zinda uThaenge
Nazm
Koi aane ka nahin ab
Khalid Karrar