اردو हिंदी
Koh-e-nida | Shaahi Shayari
koh-e-nida

Nazm

Koh-e-nida

Wazir Agha

;

subh-sawere
ek larazti kanpti si aawaz aati hai

sone walo! tum malik ko bhul gae ho
tum malik ko bhul gae ho

phir chamkili mil ka saeran
ek ghaliz Darane wali tund sada ke rup mein Dhal kar

diwaron se Takraata hai
aur galiyon ke

tang andhere baDe mein kohram macha kar
bheDon ke galle ko hank ke le jata hai

phir engine ki barham siTi
meKH si ban kar mere kan mein gaD jati hai

aur shab bhar ki nuchi hui ek rail ki bogi
apni kalai engine ke panje mein de kar

chal paDti hai
phir ek dam ek sannaTa sa chha jata hai

aur main ghaDi ki zalim suiyon ki Tik Tik mein
din ke zard pahaD pe chaDhne lagta hun