usi gumbad-e-hasht-pahlu ke aage
wahi ek kikar ka chhidra sa peD
jahan aa ke pahle-pahal mein ruka tha
wahin aa khaDa hun
magar is jharoke ka
jis mein se ek KHub-surat sa chehra
mujhe dekh kar pahle roya tha
aur phir hansa tha
nishan tak nahin hai
Nazm
Koh-e-nida se aage
Syed Iqbal Gilani