Kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte | Shaahi Shayari
kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte

Nazm

Kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte

Ameerul Islam Hashmi

;

kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte
hansane ke liye hum baat bazari nahin karte

mazah-o-tanz mein malhuz rakhte hain matanat ko
kabhi majruh hum karte nahin lafzon ki hurmat ko

jo kam shadab chehre hain unhen shadab karte hain
jo kam-sin hain bahut jhuk kar unhen aadab karte hain

ujale ko ujala raat ko hum raat kahte hain
saliqe se ba-andaz-e-digar har baat kahte hain

baDha kar baat duguni ya kabhi tiguni nahin kahte
kisi kam-qad hasina ko kabhi Thigni nahin kahte

kisi nazuk badan ko hum kabhi moTi nahin kahte
kisi moTi se moTi ko double-roTi nahin kahte

jo misguide kare us ko to misguide nahin karte
bhalai ko kisi bhi taur sab side nahin karte

banate hain har ek mahaul ko hum pur-faza yaro
qaba-e-gul ko chhute hain ba-andaz-e-saba yaro

kisi mis se jo nadani mein kuchh mistake ho jae
dua karte hain nadani bhi fal-e-nek ho jae