kitni bar bulaya us ko
lekin us ke lab larze
na aankhon mein pahchan ka kaunda lahraya
bas ek pal KHali nazren us ne
mujh par Dalin
aur palkon ke pichhe ja kar
chup ke bhaari hujre mein aaram kiya
par mere honTon se bahte
lafzon ka ek dhul uData shor
chhaton phir chhatnaron tak phail gaya
phir aur bhi upar
taron ke chhaton se ja kar lipaT gaya
phir aur bhi uncha uDte uDte
juDe hue honTon ke
us sangam par pahuncha
jis mein koi darz nahin thi
kahin bhi koi shikan nahin thi
chup ke gile gond se qashen juDi hui thin
Nazm
Kitni bar bulaya usko
Wazir Agha