اردو हिंदी
Kitaben | Shaahi Shayari
kitaben

Nazm

Kitaben

Gulzar

;

kitaben jhankti hain band almari ke shishon se
baDi hasrat se takti hain

mahinon ab mulaqaten nahin hotin
jo shamen un ki sohbat mein kaTa karti thin, ab aksar

guzar jati hain computer ke pardon par
baDi bechain rahti hain kitaben

unhen ab nind mein chalne ki aadat ho gai hai
baDi hasrat se takti hain

jo qadren wo sunati thin
ki jin ke cell kabhi marte nahin the

wo qadren ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte wo sunati thin

wo sare udhDe udhDe hain
koi safha palaTta hun to ek siski nikalti hai

kai lafzon ke mani gir paDe hain
bina patton ke sukhe TunD lagte hain wo sab alfaz

jin par ab koi mani nahin ugte
bahut si istelahen hain

jo miTTi ke sakoron ki tarah bikhri paDi hain
gilason ne unhen matruk kar Dala

zaban par zaiqa aata tha jo safhe palaTne ka
ab ungli click karne se bas ek

jhapki guzarti hai
bahut kuchh tah-ba-tah khulta chala jata hai parde par

kitabon se jo zati rabta tha kaT gaya hai
kabhi sine pe rakh ke leT jate the

kabhi godi mein lete the
kabhi ghuTnon ko apne rehl ki surat bana kar

nim sajde mein paDha karte the chhute the jabin se
wo sara ilm to milta rahega aainda bhi

magar wo jo kitabon mein mila karte the sukhe phul aur
mahke hue ruqe

kitaben mangne girne uThane ke bahane rishte bante the
un ka kya hoga

wo shayad ab nahin honge!