tumhein udas sa pata hun main kai din se
na jaane kaun se sadme uTha rahi ho tum
wo shoKHiyan wo tabassum wo qahqahe na rahe
har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum
chhupa chhupa ke KHamoshi mein apni bechaini
KHud apne raaz ki tashhir ban gai ho tum
meri umid agar miT gai to miTne do
umid kya hai bas ek pesh-o-pas hai kuchh bhi nahin
meri hayat ki ghamginiyon ka gham na karo
gham-e-hayat gham-e-yak-nafas hai kuchh bhi nahin
tum apne husn ki ranaiyon pe rahm karo
wafa fareb hai tul-e-hawas hai kuchh bhi nahin
mujhe tumhaare taghaful se kyun shikayat ho
meri fana mere ehsas ka taqaza hai
main jaanta hun ki duniya ka KHauf hai tum ko
mujhe KHabar hai ye duniya ajib duniya hai
yahan hayat ke parde mein maut palti hai
shikast-e-saz ki aawaz ruh-e-naghma hai
mujhe tumhaari judai ka koi ranj nahin
mere KHayal ki duniya mein mere pas ho tum
ye tum ne Thik kaha hai tumhein mila na karun
magar mujhe ye bata do ki kyun udas ho tum
KHafa na hona meri jurat-e-taKHatub par
tumhein KHabar hai meri zindagi ki aas ho tum
mera to kuchh bhi nahin hai main ro ke ji lunga
magar KHuda ke liye tum asir-e-gham na raho
hua hi kya jo zamane ne tum ko chhin liya
yahan pe kaun hua hai kisi ka socho to
mujhe qasam hai meri dukh-bhari jawani ki
main KHush hun meri mohabbat ke phul Thukra do
main apni ruh ki har ek KHushi miTa lunga
magar tumhaari masarrat miTa nahin sakta
main KHud ko maut ke hathon mein saunp sakta hun
magar ye bar-e-masaib uTha nahin sakta
tumhaare gham ke siwa aur bhi to gham hain mujhe
najat jin se main ek lahza pa nahin sakta
ye unche unche makanon ki DewDhiyon ke tale
har ek gam pe bhuke bhikariyon ki sada
har ek ghar mein hai aflas aur bhuk ka shor
har ek samt ye insaniyat ki aah-o-buka
ye kar-KHanon mein lohe ka shor-o-ghul jis mein
hai dafn lakhon gharibon ki ruh ka naghma
ye shah-rahon pe rangin saDiyon ki jhalak
ye jhonpaDon mein gharibon ke be-kafan lashe
ye mal-road pe caron ki rel-pel ka shor
ye pTriyon pe gharibon ke zard-ru bachche
gali gali mein ye bikte hue jawan chehre
husain aaankhon mein afsurdagi si chhai hui
ye jang aur ye mere watan ke shoKH jawan
KHaridi jati hain uThti jawaniyan jin ki
ye baat baat pe qanun o zabte ki giraft
ye zillaten ye ghulami ye daur-e-majburi
ye gham bahut hain meri zindagi miTane ko
udas rah ke mere dil ko aur ranj na do
Nazm
Kisi ko udas dekh kar
Sahir Ludhianvi