اردو हिंदी
Kisanon ka git | Shaahi Shayari
kisanon ka git

Nazm

Kisanon ka git

Masood Akhtar Jamal

;

ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai
amrit baadal ban ke uThe hain parbat se Takraenge

kheton ki hariyali ban kar chhab apni dikhlaenge
duniya ka dukh-sukh apna kar duniya par chha jaenge

zarra zarra is duniya ka aaj gagan ka tara hai
ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai

dukh bandhan kaT jaenge sukh ka sandesa aaega
miTTi ab sona uglegi baadal hun barsaega

mehnat par hai jis ka bharosa mehnat ka phal paega
apne hi kas-bal ka samundar waqt ka bahta dhaara hai

ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai
sapnon ke sundar aanchal se aasha rup dikhati hai

apni hi aawaz ki lai par sari duniya gati hai
aaj tirange ki lahron mein bijli si lahraati hai

ek hi war mein ab ai sathi dushman se chhuTkara hai
ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai