jhuTpuTe ka narm-rau dariya shafaq ka iztirab
khetiyan maidan KHamoshi ghurub-e-aftab
dasht ke kaam-o-dahan ko din ki talKHi se faragh
dur dariya ke kinare dhundle dhundle se charagh
zer-e-lab arz o sama mein bahami guft-o-shunud
mishal-e-gardun ke bujh jaane se ek halka sa dud
wusaten maidan ki suraj ke chhup jaane se tang
sabza-e-afsurda par KHwab-afrin halka sa rang
KHamushi aur KHamushi mein sansanahaT ki sada
sham ki KHunki se goya din ki garmi ka gila
apne daman ko barabar qata sa karta hua
tirgi mein khetiyon ke darmiyan ka fasla
KHar-o-KHas par ek dard-angez afsane ki shan
baam-e-gardun par kisi ke ruTh kar jaane ki shan
dub ki KHushbu mein shabnam ki nami se ek surur
charKH par baadal zamin par titliyan sar par tuyur
para para abr surKHi surKHiyon mein kuchh dhuan
bhuli-bhaTki si zamin khoya hua sa aasman
pattiyan maKHmur kaliyan aankh jhapkati hui
narm-jaan paudon ko goya nind si aati hui
ye saman aur ek qawi insan yani kast-kar
irtiqa ka peshwa tahzib ka parwardigar
jis ke mathe ke pasine se pae-izz-o-waqar
karti hai daryuza-e-tabish kulah-e-tajdar
sar-nigun rahti hain jis se quwwaten taKHrib ki
jis ke bute par lachakti hai kamar tahzib ki
jis ki mehnat se phabakta hai tan-asani ka bagh
jis ki zulmat ki hatheli par tamaddun ka charagh
jis ke bazu ki salabat par nazakat ka madar
jis ke kas-bal par akaDta hai ghurur-e-shahryar
dhup ke jhulse hue ruKH par mashaqqat ke nishan
khet se phere hue munh ghar ki jaanib hai rawan
Tokra sar par baghal mein phaoDa tewri pe bal
samne bailon ki joDi dosh par mazbut hal
kaun hal zulmat-shikan qindil-e-bazm-e-ab-o-gil
qasr-e-gulshan ka daricha sina-e-giti ka dil
KHushnuma shahron ka bani raaz-e-fitrat ka suragh
KHandan-e-tegh-e-jauhar-dar ka chashm-o-charag
dhaar par jis ki chaman-parwar shagufon ka nizam
sham-e-zer-e-arz ko subh-e-daraKHshan ka payam
Dubta hai KHak mein jo ruh dauData hua
muzmahil zarron ki mausiqi ko chaunkata hua
jis ke chhu jate hi misl-e-naznin-e-mah-jabin
karwaTon par karwaTen leti hai laila-e-zamin
parda-ha-e-KHwab ho jate hain jis se chaak chaak
muskura kar apni chadar ko haTa deti hai KHak
jis ki tabish mein daraKHshani hilal-e-id ki
KHak ke mayus matla par kiran ummid ki
tifl-e-baran tajdar-e-KHak amir-e-bostan
mahir-e-ain-e-qudarat nazim-e-bazm-e-jahan
nazir-e-gul pasban-e-rang-o-bu gulshan-panah
naz-parwar lahlahati khetiyon ka baadshah
waris-e-asrar-e-fitrat fateh-e-ummid-o-bim
mahram-e-asar-e-baran waqif-e-taba-e-nasim
subh ka farzand KHurshid-e-zar-afshan ka alam
mehnat-e-paiham ka paiman saKHt-koshi ki qasam
jalwa-e-qudrat ka shahid husn-e-fitrat ka gawah
mah ka dil mehr-e-alam-tab ka nur-e-nigah
qalb par jis ke numayan nur o zulmat ka nizam
munkashif jis ki farasat par mizaj-e-subh-o-sham
KHun hai jis ki jawani ka bahaar-e-rozgar
jis ke ashkon par faraghat ke tabassum ka madar
jis ki mehnat ka araq tayyar karta hai sharab
uD ke jis ka rang bin jata hai jaan-parwar gulab
qalb-e-ahan jis ke naqsh-e-pa se hota hai raqiq
shoala-KHu jhonkon ka hamdam tez kirnon ka rafiq
KHun jis ka bijliyon ki anjuman mein baryab
jis ke sar par jagmagati hai kulah-e-aftab
lahar khata hai rag-e-KHashak mein jis ka lahu
jis ke dil ki aanch ban jati hai sail-e-rang-o-bu
dauDti hai raat ko jis ki nazar aflak par
din ko jis ki ungliyan rahti hain nabz-e-KHak par
jis ki jaankahi se Tapkati hai amrit nabz-e-tak
jis ke dam se lala-o-gul ban ke itraati hai KHak
saz-e-daulat ko ata karti hai naghme jis ki aah
mangta hai bhik tabani ki jis se ru-e-shah
KHun jis ka dauDta hai nabz-e-istiqlal mein
loch bhar deta hai jo shahzadiyon ki chaal mein
jis ka mas KHashak mein banta hai ek chadar mahin
jis ka loha man kar sona ugalti hai zamin
hal pe dahqan ke chamakti hain shafaq ki surKHiyan
aur dahqan sar jhukae ghar ki jaanib hai rawan
us siyasi rath ke pahiyon par jamae hai nazar
jis mein aa jati hai tezi khetiyon ko raund kar
apni daulat ko jigar par tir-e-gham khate hue
dekhta hai mulk-e-dushman ki taraf jate hue
qata hoti hi nahin tariki-e-hirman se rah
faqa-kash bachchon ke dhundle aansuon par hai nigah
sochta jata hai kin aankhon se dekha jaega
be-rida biwi ka sar bachchon ka munh utra hua
sim-o-zar nan-o-namak aab-o-ghiza kuchh bhi nahin
ghar mein ek KHamosh matam ke siwa kuchh bhi nahin
ek dil aur ye hujum-e-sogwari hae hae
ye sitam ai sang-dil sarmaya-dari hae hae
teri aankhon mein hain ghaltan wo shaqawat ke sharar
jin ke aage KHanjar-e-changez ki muDti hai dhaar
bekason ke KHun mein Dube hue hain tere hat
kya chaba Dalegi o kambaKHt sari kaenat
zulm aur itna koi had bhi hai is tufan ki
boTiyan hain tere jabDon mein gharib insan ki
dekh kar tere sitam ai hami-e-amn-o-aman
gurg rah jate hain danton mein daba kar ungliyan
iddia-e-pairwi-e-din-o-iman aur tu
dekh apni kuhniyan jin se Tapakta hai lahu
han sambhal ja ab ki zahr-e-ahl-e-dil ke aab hain
kitne tufan teri kashti ke liye be-tab hain
Nazm
Kisan
Josh Malihabadi