han 
main usi pani ki bund hun 
jo tumhaare kamre ke kone mein paDi 
surahi mein rahta tha aaKHir-kar 
tumhaara samundar 
na jaane kitne dariyaon ka 
pyasa tha aur 
jag jag phirta tha 
main 
har sham 
surahi ki haden par karti 
tumhaare honT 
tarawat ke zaiqe lete 
jag jag phirne ki 
thakan miT jati 
par har jag se laya gaya gyan 
tumhein swayam bhagwan bana gaya 
phir tumhaare 
pathrile hath uThe 
kone mein paDi surahi 
toD baiThe aur 
choT 
pani ko lagi 
bund bund dard se taDap uThi 
sar paTakne lagi 
tum apni sukhi aatma ko le chalo yahan se 
kin sochon mein Dube ho 
main usi pani ki bund hun
        Nazm
Kin sochon mein Dube ho
Shabnam Ashai

