mere kapDon ko kiDe kha gae to main ne ye socha
mere nange badan ka bhi yahi anjam hona hai
magar ye jaan kar main kitna KHush hun kitna aasuda
ki meri ruh mera zehn
aur afkar-o-ehsasat hain
mahfuz kiDon se
mujhe un ka KHayal aata hai
jin ki ruh ko aur zehn ko
chaTa hai kiDon ne
chhupana chahte hain jo libas-e-faKHira mein an-ginat kiDe
dabana chahte hain itr ki KHushbu se jo baatin ki badbu mein
jinhen kiDon ne kiDa kar diya hai
lekin
nazar aate hain jo ab bhi hamein insan ki surat
ki hain kuchh aur din
un ke libas un ke badan
mahfuz kiDon se
wo din nazdik hai jab un par zahrili dawa chhiDkenge
nasl-e-nau ke danish-war
Nazm
KiDe
Ehsan Ali Khan