main ne aashaon ki aankhen
chehre honT aur nile bazu
noch liye hain
un ke garm lahu se main ne
apne hath bhigo Dale hain
dopahron ki tapti dhup mein
KHwahishen apne jism uTha kar
chobi khiDki ke shishon se
aksar jhankti rahti hain
aankhen honT aur zaKHmi bazu
jaane kya kuchh mujh se kahte rahte hain
jaane kya kuchh un se kahta rahta hun
raat gae tak zaKHmi KHwahishen
bistar ki ek ek silwaT se
nikal nikal kar roti hain
aur sahar ko un ke KHun se
apne hath bhigo leta hun
Nazm
KHwahishen aur KHun
Tabassum Kashmiri