dil mein ek madum zamane ke
aur ek duniya ke hone ki
ummid liye
aankhon mein patjhaD thame
sakit sard hawa par uDti titli
ruk ja
tham ja
mujhe ye Dar lagta hai
ek din yahi sakit sard hawa
jhakkaD ban jaegi
yahi talwe chumti miTTi
bagule ban kar
tere taaqub mein niklegi
tere narm paron ki dushman
pagal titli
tere KHwab teri duniya hain
lekin ek duniya
tere KHwabon se bahar bhi basti hai
is duniya mein jina samjhauta hai
lekin KHwabon ko samjhaute ras nahin aate
phir bhi tu ne isi hawa par uDna hai
in shaKHon par phul bahut kam ugte hain
lekin tujhe to inhi shaKHon par baiThna hai
tham ja titli
mere dil ki miTTi mein ab phul nahin khilte
lekin jab bhi phul khile
tum pahle phul pe baiThna
mujh mein uDna
jab tak dil chahe
tham ja titli
Nazm
KHwabon ko samjhaute ras nahin aate
Anwar Sen Roy