tum batlao kya jaante ho
kya sochte ho
aur is be-kar tamashe mein kyun zinda ho
upar niche daen baen aage pichhe
hai ek rang
jo kuchh bhi tha
wo sab kalak mein Dub gaya
jo kuchh bhi hai
wo rafta rafta rang badalta jata hai
ye chand ye suraj sayyare
ye manzar manzar nazzare
ek KHwab hai soe aadmi ka
jo soya hai
shayad tanwim ke zer-e-asar
jaane kitne andhe kale anjaan baras
jo jagega to
ek rang
bas ek rang
daen baen aage pichhe upar niche
ek kala badbu-dar samundar daen taraf
ek kala badbu-dar samundar baen taraf
aage pichhe
upar niche
tum batlao kya jaante ho
kya sochte ho
aur is be-kar tamashe mein
kyun zinda ho
Nazm
KHwab tamasha(2)
Kumar Pashi