khule paniyon mein ghiri laDkiyan
narm lahron ke chhinTe uDati hui
baat-be-baat hansti hui
apne KHwabon ke shahzadon ka tazkira kar rahi thin
jo KHamosh thin
un ki aankhon mein bhi muskurahaT ki tahrir thi
un ke honTon ko bhi an-kahe KHwab ka zaiqa chumta tha!
aane wale nae mausamon ke sabhi pairahan nilmin ho chuke the!
dur sahil pe baiThi hui ek nannhi si bachchi
hamari hansi aur maujon ke aahang se be-KHabar
ret se ek nanha gharaunda banane mein masruf thi
aur main sochti thi
KHuda-ya! ye hum laDkiyan
kachchi umron se hi KHwab kyun dekhna chahti hain
KHwab ki hukmarani mein kitna tasalsul raha hai!
Nazm
KHwab
Parveen Shakir