اردو हिंदी
KHwab ki tarah se yaad hai | Shaahi Shayari
KHwab ki tarah se yaad hai

Nazm

KHwab ki tarah se yaad hai

Jagan Nath Azad

;

KHwab ki tarah se hai yaad ki tum aae the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai

zarre zarre ko tajalli ki KHabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai

raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the

jaise gulshan mein dabe panw bahaar aati hai
patti patti ke liye le ke nikhaar aati hai

aur phir waqt wo aata hai ki har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-ghubar aati hai

kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the
jis tarah mahw-e-safar ho koi virane mein

aur raste mein kahin koi KHayaban aa jae
chand lamhon mein KHayaban ke guzar jaane par

samne phir wahi duniya-e-bayaban aa jae
kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the