sapne mein raat aai dilli
dair talak batyai dilli
puchh rahi thi haal batao
guzra kaise sal batao
basne walon mein dilli ke
bolo sachche dost nahin the
ya ki buzurgon ki sohbat mein
kami thi kuchh un ki shafqat mein
ba-yak nazar har chiz bhula di
manzar ko ya KHud ko saza di
main jo tere dil ki ada thi
kya meri ulfat hi KHata thi
galiyan saDken daftar hotel
har ja hai yaadon ki halchal
aaj mein kya KHubi hai jo yun
bhul chuke ho tum apna kal
husn ke hain wo kaun se jalwe
jo mere daman mein nahin the
kya aisi uftad paDi jo
bhul gae dil-saz zamin ko
kya mere sae ke niche
rahat aur aaram nahin the
mana parai thi main hae
apnon se kitne sukh pae
sawalon ki is aaD mein dilli
wajh-e-judai puchh rahi thi
jami thin mujh par kai nigahen
dil mein dabi thin apni aahen
kahta kya alfaz nahin the
aankhon se aansu bah nikle
sari haalat jaan gai wo
kah ke mujhe nadan gai wo
sapne mein raat aai dilli
dair talak batyai dilli
Nazm
KHwab ki dilli
Ata Abidi