jaise dukh bhare din aate hain hathon mein
aise be-bas aansu aate hain aankhon mein KHwab nahin aate
KHwab ki baaten
KHwab ki KHwahish mein dukh ke din ko oDh ke so jaen
par aansu baras baras ke sone bhi na den
gharib ki kuTiya ki tarah jagah jagah se pani Tapke
jal-thal sare ghar mein
phir KHushiyon ke patton ko kin daraKHton pe ja kar talash karen
apne man ghanTi bandh ke baiTh rahin
wo aae to
sab diwaren aankhon ki ghanTi ki aawaz se jag uThin
sab janmon ki pyas hari ho
khol ke khiDki bahar barish kar dun KHushiyon ki
miTTi ke gharaunde ji uThen wo aae to
Nazm
KHwab ki baaten
Shaista Habeeb