ai mere badan se lipTi hijrat ki sarshaari!
KHwahish ki be-samt jihat ke kahne mein mat aa
mere bazuon mein quwwat to hai
jo sukhe samundar mein tairti kashti ke patwar mein utri hai
lekin meri Tangon mein
harkat ke codes musalsal marte jate hain
gunj ek bahao mein meri jaanib baDhti hai
aur KHamoshi
chehre ke KHal-o-KHat se noch ke le jati hai
main rafta rafta
KHwahish ke ambar mein girta jata hun
nind ki tughyani mein bahta jata hun
phir sehan ke nal se bahte pani ki aawaz
mere raste par
sargoshi phenk ke jati hai
mujh ko KHwab-kadon ki hairat se wapas le aati hai
Nazm
KHwab-kadon se wapsi
Qasim Yaqub