nind-palki utri raat dur jangal mein
KHwab KHwab manzar tha dhire dhire bahti thi
simfani hawaon ki raat chand baadal mein
chandni ki banhon mein jhil waltz karti thi
dhimi dhimi si KHushbu sath sath chalti thi
kunj mein daraKHton ke be-KHudi ke aalam mein mast Dar hirnon ki
bele raqs karti thi
hirniyon ki aankhon mein mushk si mahakti thi
kale pairahan pahne ba-waqar peDon ne wailen sambhaale the
jhumte hue patte taliyan bajate the
gungunati bailon par phul kasmasate the
jugnuon ki jhilmil se raj-hans sote se jag jag uThte the
aahaTen parindon ki apne shab-baseron mein paelen bajati thin
apne band kamre mein aankh jo khuli dekha
shahr ki kasafat se muzmahil sa suraj phir
ek aur nae din ki dhul le ke aaya tha
T w wale kamre mein subh ka KHabar-nama ittilaa deta tha
ek aur jangal ko kaT kar nikalenge rasta taraqqi ka
Nazm
KHwab-jangal
Azra Naqvi