jis ke chaaron-samt ab tak
paniyon ka rela hai
aisa sard pani ki
jis mein koi utre to
ruh sard paD jae
kanp jae sara tan
kaun ye samajhta hai
KHwab kitne ziddi hain
gol gol lahron mein
Dub kar ubharne ka
hausla sameTe ye
aise kud paDte hain
jaise koi muddat se
pyas mein taDapta ho
aur samne us ke
sirf ek kuza ho
jis mein chand qatre hon
sun lo aankh ka qissa
qarz apne KHwabon ka kis tarah chukati hai
mauj ke thapeDon se reza reza hoti hai
lamha lamha jalti hai TuT kar barasti hai
surKH surKH Doron mein sab thakan sameTe ye
KHwab kab samajhte hain aankh ki taDap kya hai
kitne dard palkon par yun uThae phirti hai
gahre is samundar mein kaise kaise tufan hain
toDte hain kya kya kuchh shor kaise karte hain
KHwab ek jazira hai wo kahan samajhta hai
us ki ek KHwahish par aankh kitna roti hai
aankh kitna roti hai
Nazm
KHwab ek jazira hai
Asra Rizvi