phir usi shahr mein aae ho palaT kar ki jahan
chand hote hain jo tum ne dikhae the KHwab
chand din hote hain jab tum ne sajae the gulab
jin mein KHushbu bhi thi aur rang bhi manind-e-shahab
tum gae KHwab rahe aur zamane ke azab
DhunDte rah gae lab kitne sawalon ke jawab
ab jo aae ho to itna sa karam kar jaana
ab ke bimar se KHwabon ki mahak mat lana
ab jo dikhlana to kuchh KHwab nae dikhlana
aise kuchh KHwab zaminon ko jo shadab karen
aise kuchh KHwab jo shahron ko bhi shadab karen
aise kuchh KHwab jo taqdir KHayalat ke hon
aise kuchh KHwab jo miras hon insanon ki
tum jo aisa na karoge to wahi gham honge
rabt-e-baham ke na asbab faraham honge
mutmain KHud se kahin tum na kahin hum honge
Nazm
KHwab-farosh
Razi Raziuddin