ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
sharir se ziyaada wo KHwab hua karti thi
machli si wo aankhen hamdam
bas KHwab buna karti thi
ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
na wasta logon se tha
na khelna baaton se tha
na baaten duniya-dari ki thi
na matlab ki duniya sari thi
na qisse logon ki nafrat ke the
na hisse un ki hi hasrat ke the
jo TuT gae kahin rah mein
jo rah gae kahin bas aah mein
rahen har dam saf thi
sab ki ghalatiyan bhi muaf thi
dil mein bojh nahin rakhti thi
wo KHwab se khela karti thi
sharir se zyaada wo KHud KHwab hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
dil ki sachchi hua karti thi
doston ki kami na thi
par khud se ziyaada kisi se jami na thi
tab to rab hi bhagwan hua karte the
aur bhagwan se hum baaton mein dua karte the
zaban pe shabd bahut sare na hon
par bhaunaun ki kami na thi
mushkilon ko bhi hans kar jite the
han rote be-shak the
par kabhi hausle past hon
aankhon mein aisi nami na thi
bite ko chhoD diya shikwon ko bhi moD diya
pyar jahan se milta tha
wahan KHud ko us ne toD diya
ummiden us mein KHub bhari thi
ghalatiyan us ne bhi KHub kari thi
par dil saf tha upar rab ka hath tha
to bas baaton mein hi
to bas kanTon se bhi
dosti sachchi kya karti thi
ek bachchi hua karti thi
iradon ki pakki hua karti thi
na zamane ka Dar
wo thi be-fikr
ab zanjiren us pe lad di
sau chizen dimagh mein Dal di
zimmedari ke nam par
aazadi us ki mar di
aansu us ki kamzori the
par kamzori se wo zar thi
is liye to unhi ki aaD mein sab ne
jit us se chhin li
har-dam us ko haar di
par kaha na wo aam na thi
khud se wo anjaan na thi
use malum tha kya chal raha hai
kaun kis se raha hai hai
kaun kaise sambhal raha hai
wo khud ko uThane mein mana karti thi
waqt aane par
wo khud ko jhukane mein mana karti thi
mana jit chahti thi
par kisi ko girana us ki fitrat mein na tha
choT dena kisi ko usi hasrat mein na tha
aaKHir rog-har thi wo
baaton se upchaar kiya karti thi
logon ko KHwab dikha kar
KHud upchaar hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
baDi achchhi hua karti thi
kahin kho gaya wo bachpana
kahin kho gai wo bachchi
jo achchhi hua karti thi
jo sachchi hua karti thi
ab bhi dil us ka bachcha hai par duniya dekh ro gaya
na-ummidi ki is bhiD mein wo ummidon sang bhi kho gaya
ek aah jo chhuTi thi ummid us ki jo luTi thi
use toD toD kar
ab joD joD kar
wo aas joDne chali hai
ruh jaan kar apni wo
ye raaz chhoDne chali hai
zanjiron ki is duniya ke sab
wo bandhan toDne chali hai
har TeDhi rahon ko wo kuchh aise moD ne chali hai
ke dikh to ho par hatasha na ho
ek junun ho par be-tahasha na ho
wo chahti hai
har chahat mein ek chahat ho
jo kisi se ghalat na hone de
jo kisi ko ghalat na hone de
wo chahti hai
har aadat mein ek aadat ho
jo aadat bigaDne na de
jo lat ko junun se bhiDne na de
wo chahti hai
har aahaT mein ek aahaT ho
jo dil ko bhaTakne na de
jo sahi ko ghalat se jhaTakne na de
jo ummidon ko rah mein laTakne na de
wo chahti hai
har baDappan mein bhi bachpan ho
umr chahe phir pachpan ho
wo chahti hai
na-ummidi ke in bhanwaron mein bhi
ummidon ka suraj nikle
patthar ki in murat mein bhi
kahin to chhupa mom pighle
wo chahti hai
ki ek din koi jhaTka mile
zindagi ko pata chale
ki zindagi baqi hai
wo chahti hai
wo chahti hai ek sapna pana
phir se apne sapne jina
phir se har ek KHwab bunna
phir se har ek kanTa chunna
par is bar wo chahti hai
phir se wo ek bachchi banna
jise gaya karti thi
duniya sunaya karti thi
wo chahti hai
phir se wo ek bachchi banna
ki duniya phir se gae
ye duniya phir sunae
ki ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
wo KHwab chunna jaanti thi
wo KHwab bunna jaanti thi
sharir se ziyaada main KHud KHwab hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
Nazm
KHwab
Ankita Garg