main ek hasin KHwab dekhta hun
main dekhta hun
wo kisht-e-viran
ki salha-sal se
jo abr ko bhi taras rahi thi
wo kisht-e-viran
ki jis ke lab KHushk ho chuke the
jo abr-e-naisan ki muntazar thi
jo kitni sadiyon se
baad-o-baran ki muntazir thi
main dekhta hun
us apni maghmum kisht-e-viran pe
kuchh ghaTa nahin
jo aaj lahra ke chha gai hain
ye sard hawa ke jhonke
na ruk sake jo kisi ke roke
zara tamazat jo kam hui hai
hayat kuchh mohtaram hui hai
main ek hasin KHwab dekhta hun
main dekhta hun
ki jaise shab ki siyah chadar
simaT rahi hai
wo tirgi
hum jise muqaddar samajh chuke the
wo chhaT rahi hai
main dekhta hun
ki subh-e-farda
hazar ranaiyan jilau mein
liye muskura rahi hai
main dekhta hun
jabin ufuq ki jo nur-e-farda se hai munawwar
sahar ka paigham de rahi hai
jo raushni ka
jo zindagi ka
har ek ko inam de rahi hai
Nazm
KHwab dekhta hun
Suroor Barabankvi