hai jahan-e-guzaran KHwab ka bilkul naqsha
dida-e-hazrat-e-insan ke liye dhoka sa
shadmani ka tabassum hai ki aansu gham ka
ye bhi jhuTa hai jo meri suno wo bhi jhuTa
yan hai jo chiz wo sachchi nahin juz nam-e-KHuda
nam-o-shohrat ke ye chumkare bhi bilkul jhuTe
misl-e-nairang-e-shafaq hum ne badalte dekhe
ishq-o-ummid hai kya husn samajhte ho kise
ye wo hain phul chune jaen jo qabron ke liye
yan hai jo nur wo qaem nahin juz zat-e-KHuda
bahr-e-tufani-e-duniya mein hain hum sar-gashta
mauj-e-gham mein hai jahaz apna theater khata
raushni aql ki hai wahm ka ya chumkara
in se tufan ke siwa hum ne na kuchh bhi dekha
yan hai jo shai bhi wo maskan nahin juz nam-e-KHuda
Nazm
KHwab dekhna
Suraj Narayan Meher