bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi
is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
ye ahd jis pe kai naslon ki hai gard paDi
ye pir-zal ye qila kanar aab-e-rawan
bhaDakte sholon ke manind jis ka har gumbad
ye kangare hain ki hain bhaTTiyon ke angare
jala ke rakh diye jin ki tapish ne lakhon makan
ye hai alamat-e-fistaiyat girao se
hamare bachchon ke school se haTao ise
ye KHuni-qila ka phaTak hai ya dahan-e-jahim
fasil-e-sang ibarat hai KHun ke dhabbon se
diye lahun ke farozan kiye hue har taq
hai jin ke samne KHira tala o gauhar o sim
sada-e-raqs nikalti hui jharonkon se
kisi hasina-e-firaun ka mahal jaise
sutun marmarin angDai le ke nind mein chur
libas-e-barahnagi mein nihan qalo-patra
miyan-e-nil koi lash dekh kar hans de
is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi
naddi ye hai ki zamin par hai ek lash paDi
Nazm
KHuni qila
Wamiq Jaunpuri