mausam-e-sarma ki raat
jis ke sardi mein rache barfile hath
jab bhi chhute hain mujhe
kapkapa uThta hun main
main ajab barzaKH mein hun
apni biwi ka shanasa jism bhi
ab mujhe sairab kar sakta nahin
mere andar KHwahishon ka ek pyasa bheDiya
aaj be-kal hai bahut
KHun-e-taza ke liye
Nazm
KHun taza
Sahba Akhtar