dil KHushamad se har ek shaKHs ka kya raazi hai
aadmi jin pari o bhut bala raazi hai
bhai farzand bhi KHush bap chacha raazi hai
shad masrur ghani shah o gada raazi hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
apna matlab ho to matlab ki KHushamad kije
aur na ho kaam to us Dhab ki KHushamad kije
auliya ambiya aur rab ki KHushamad kije
apne maqdur gharaz sab ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
chaar din jis ko kiya jhuk ke KHushamad se salam
wo bhi KHush ho gaya apna bhi hua kaam mein kaam
baDe aaqil baDe dana ne nikala hai ye dam
KHub dekha to KHushamad hi ki aamad hai tamam
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
bad baKHil aur saKHi ki bhi KHushamad kije
aur jo shaitan ho to us ki bhi KHushamad kije
gar wali ho to wali ki bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
pyar se joD diye jis ki taraf hath jo aah
wahin KHush ho gaya karte hi wo hathon pe nigah
ghaur se hum ne jo is baat ko dekha wallah
kuchh KHushamad hi baDi chiz hai allah allah
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi
pine aur pahanne khane ki KHushamad kije
hijDe bhanD zanane ki KHushamad kije
mast o hushiyar diwane ki KHushamad kije
bhole nadan siyane ki KHushamad kije
jau KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
aish karte hain wahi jin ka KHushamad ka mizaj
jo nahin karte wo rahte hain hamesha mohtaj
hath aata hai KHushamad se makan mulk aur taj
kya hi tasir ki is nusKHe ne pai hai riwaj
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
gar bhala ho to bhale ki bhi KHushamad kije
aur bura ho to bure ki bhi KHushamad kije
pak napak siDe ki bhi KHushamad kije
kutte billi o gadhe ki bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
KHub dekha to KHushamad ki baDi kheti hai
ghair ki apne hi ghar bich ye sukh deti hai
man KHushamad ke sabab chhati laga leti hai
nani dadi bhi KHushamad se dua deti hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
bi-bi kahti hai miyan aa tere sadqe jaun
sas bole kahin mat ja tere sadqe jaun
KHala kahti hai ki kuchh kha tere sadqe jaun
sali kahti hai ki bhayya tere sadqe jaun
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
aa paDa hai jo KHushamad se sarokar use
DhunDte phirte hain ulfat ke KHaridar use
aashna milte hain aur chahe hain sab yar use
apne begane gharaz karte hain sab pyar use
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
rukhi aur roghni aabi ko KHushamad kije
nan-bai o kababi ki KHushamad kije
saqi o jam sharabi ki KHushamad kije
parsa rind KHarabi ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada araazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
jo ki karte hain KHushamad wo baDe hain insan
jo nahin karte wo rahte hain hamesha hairan
hath aate hain KHushamad se hazaron saman
jis ne ye baat nikali hai main us ke qurban
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
kauDi paise o Take zar ki KHushamad kije
lal o nilam dar o gauhar ki KHushamad kije
aur jo patthar ho to patthar ki KHushamad kije
nek o bad jitne hain yak-sar ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
hum ne har dil ki KHushamad ki mohabbat dekhi
pyar iKHlas o karam mehr murawwat dekhi
dilbaron mein bhi KHushamad hi ki ulfat dekhi
aashiqon main bhi KHushamad hi ki chahat dekhi
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
parsa pir hai zahid hai mana jati hai
juwariya chor daghabaz KHarabaati hai
mah se mahi talak chyunTi hai ya hathi hai
ye KHushamad to miyan sab ke tain bhati hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
gar na miThi ho to kaDwi bhi KHushamad kije
kuchh na ho pas to KHali bhi KHushamad kije
jaani dushman ho to us ki KHushamad kije
sach agar puchho to jhuTi bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
mard o zan tifl o jawan KHurd o kalan pir o faqir
jitne aalam mein hain mohtaj o gada shah wazir
sab ke dil hote hain phande mein KHushamad ke asir
to bhi wallah baDi baat ye kahta hai 'nazir'
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
Nazm
KHushamad
Nazeer Akbarabadi