jab koi kaam na ho tab bhi mujhe
sochte rahne ka ek kaam to hai
rahat o dard se mabsut koi nam to hai
yunhi baiTha tha main us nam se wabasta mohabbat ke,
udasi ke dariche khole
itni chup thi ki KHayalat ki chap
apna ehsas dilati thi mujhe
be-kali hasab-e-talab us ne na mil sakne ki
hasb-e-mamul satati thi mujhe
aur phir phone ki ghanTi khanki
teri aawaz ka jharna phuTa
aur wo nam mujassam ho kar
mere atraf mein chakrane laga
main ne dekha ki mere kamre mein
be-kali aur udasi ka daricha to koi tha hi nahin
Nazm
KHush-amdid
Anjum Khaleeq