wo kya tha
qahqaha tha
chiKH thi
chinghaD thi
ya dahaD thi?
us ne samaat chirti aawaz ka gola
utarti raat ki bhigi hui pahnai mein dagha
to mere panw ke niche zamin chalne lagi
ye tum ne kya kiya meri dabi aawaz ne puchha
to wo ek ghunT pani se phaTi aawaz ko si kar
kisi andhe kuen ki tah se bola
mujhe jab bhi meri bedard sochen tang karti hain
zamane ki rawish se jab meri KHurd-rau dalilen jang karti hain
kitaben jab mere sar ka nishana bandh ke apni ibarat sang karti hain
to mujh se aur kuchh bhi ho nahin sakta
main ye bedard aawaza lagata hun
wagarna so nahin sakta
Nazm
KHurd-rau dalilen
Waheed Ahmad