meri har fikr mein tufan ki tughyani hai
aur mere shauq mein jazbon ki farawani hai
yun junun bahta hai dariya ki rawani jaise
aur meri soch mein palti hai kahani jaise
main ne to himmat-e-mardan-e-KHuda sikhi hai
main ne TuTe hue lahjon ki dua sikhi hai
main ne har rang ki KHushbu ki ada sikhi hai
main ne har zahir o baatil ka uThaya parda
aur tasKHir-e-zamana ki lagan dil mein liye
apne hathon mein mashaqqat ke kaDe pahne hain
main ne har aql-o-KHirad fahm-o-farasat ka sahaara le kar
yun zamane ko baratne ke hunar sikhe hain
main ne jaane hain sabhi raaz-e-nihan aur jahan
aur jaana hai KHudi hai to makan mera hai
aasman mera
zamin meri
jahan mera hai
Nazm
KHudi ka raaz
Neel Ahmed