اردو हिंदी
Khudawanda ye kaisa jabr hai | Shaahi Shayari
Khudawanda ye kaisa jabr hai

Nazm

Khudawanda ye kaisa jabr hai

Mubarak Haider

;

KHudawanda ye kaisa jabr hai
main ne teri rassi ko pakDa hi nahin lekin

mujhe rassi ne jakDa hai
mujhe kahte hain tum aazad ho, apne liye chun lo

magar bahr-e-fana ko jaane wale mujh ko rukne hi nahin dete
main rukna chahta hun

us hasin ke aan milne tak ki jo raste mein pichhe rah gai thi
bayaban-e-numu ki be-karan tarikiyon mein

an-ginat ruhon ki dhakkam-pel thi
tab bhi wahi jhuTi kahani thi

ki tum aazad ho lekin
andhera bhiD aur wahshat mein lambi ghaar ke parle sire par

TimTimati raushni tak sab ko aana tha
wo pichhe rah gai, main jabr ki rassi mein jakDa ghaar se bahar nikal aaya

main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jo raste mein pichhe hai

main us ka muntazir hun kitne barson se
KHudawand-e-fana!

main teri rassi ke kai bal khol kar
umr-e-rawan ke zahr se bachta raha hun

phir bhi mera jism jo hasti ke jauhar ka libaada hai
purana ho gaya hai

main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jab us ka labaada bhi purana ho

to hum mil kar tere bahr-e-fana ke is kinare par
purane pairahan dho len

phir is ke baad bhi teri yahi zid ho to le jaana!!