KHuda wo waqt na lae ki sogwar ho tu
sakun ki nind tujhe bhi haram ho jae
teri masarrat-e-paiham tamam ho jae
teri hayat tujhe talKH jam ho jae
ghamon se aaina-e-dil gudaz ho tera
hujum-e-yas se betab ho ke rah jae
wufur-e-dard se simab hoke rah jae
tera shabab faqat KHwab ho ke rah jae
ghurur-e-husn sarapa niyaz ho tera
tawil raaton mein tu bhi qarar ko tarse
teri nigah kisi gham-gusar ko tarse
KHizan-rasida tamanna bahaar ko tarse
koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe e'timad kare
KHuda wo waqt na lae ki tujh ko yaad aae
wo dil ki tere liye be-qarar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intizar ab bhi hai
Nazm
KHuda wo waqt na lae
Faiz Ahmad Faiz