ghazwa-e-KHandaq ka safar
zaban ki KHandaq tak aa pahuncha
lekin sazishen hathiyai nahin ja sakin
iblis ki mayyat mein
namaz-e-hajat ada karne wale
hatheliyon mein jannat bhar ke kahte hain
KHudaya
ye dudh aur shahd ki nahren
kis ke liye bacha rakhi hain
teri zamin pe to ab
kachre ke Dher se
rizq nahin insani khilaune milte hain
zalimon ne mushken kas lin
aur teri daraaz rassiyon ne
hazaron isa maslub kar diye
teri tewri mein bal paDta hai to
zamin taish mein thuthni hilati hai
aur aasman sari raat
us pe bhunkta rahta hai
dekh tere khilaunon ki
zaban-daraazi baDh gai hai
aur likhne walon ke liye
sari kahaniyan
basi kaDhi ke ubaal jaisi ho gai hain
is liye surKHiyon mein ab
teri masrufiyat pe sawal uThaya ja raha hai
tu chup-chap miTTi ko
khanakte hue sunta hai
kabhi bol ke bhi dekh
Nazm
KHuda qahqaha lagata hai
Sidra Sahar Imran