KHuda ka ghar nahin koi
bahut pahle hamare ganw ke akasr buzurgon ne
use dekha tha
puja tha
yahin tha wo
yahin bachchon ki aankhon mein
lahakte sabz peDon mein
wo rahta tha
hawaon mein mahakta tha
nadi ke sath bahta tha
hamare pas wo aankhen kahan hain
jo pahaDi par
chamakti
bolti
aawaz ko dekhen
hamare kan bahre hain
hamari ruh andhi hai
hamare waste
ab phul khilte hain
na konpal gungunati hai
na KHamoshi akele mein sunahre git gati hai
hamara ahd!
man ke peT se andha hai bahra hai
hamare aage pichhe
maut ka tarik pahra hai
Nazm
KHuda ka ghar nahin koi
Nida Fazli