اردو हिंदी
KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai | Shaahi Shayari
KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai

Nazm

KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai

Sahir Ludhianvi

;

KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai
har ek fath-o-zafar ke daman pe KHun-e-insan ka rang kyun hai

zamin bhi teri hai hum bhi tere ye milkiyat ka sawal kya hai
ye qatl-o-KHun ka riwaj kyun hai ye rasm-e-jang-o-jidal kya hai

jinhen talab hai jahan bhar ki unhin ka dil itna tang kyun hai
KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai

gharib maon sharif bahnon ko aman-o-izzat ki zindagi de
jinhen ata ki hai tu ne taqat unhen hidayat ki raushni de

suron mein kibr-o-ghurur kyun hai dilon ke shishe ye rang kyun hai
KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai