raat bhige to purane qisse
pae tartib koi aur sahaara DhunDen
chandni nind ka phaila hua jadu le kar
dil ke be-KHwab nagar mein utre
aur hawa dhup se baulai hui saDkon par
loriyan gati nikle
os har phul ke daman mein sitare bhar de
lekin is KHwab-e-KHayali ka natija kya hai
raat ki god mere dard ki manzil to nahin
daman-e-gul pe chamakti shabnam
loriyan deti hui sard hawa
chandi ki narm sunahri kirnen
sab ke sinon mein utar jaengi
kal ke suraj ki jhulasti kirnen
dard phir KHak-ba-sar aaega
KHwab ki aankh mein simTa hua sara kajal
KHud usi KHwab ke chehre pe bikhar jaega
dil ke qisson ka muqaddar hai pareshan-haali
pae tartib sahaaron ka taaqub chhoDo
soch ke baKHt mein izhaar ka lamha kab tha
dil-e-nakaam sarabon ka taaqub chhoDo
subh-dam phir wahi putli ka tamasha hoga
jagti raat ke KHwabon ka taaqub chhoDo
Nazm
KHud-supurdagi
Amjad Islam Amjad