suraj har roz
meri aankhon mein bhari hui
aur shayad mari hui nind ko dekh kar
apne din ka aaghaz karta hai
main
ghar se daftar jati hui saDak par
rengta hua
aane wali naslon par ehsan karta hun
main daftar apni marzi se jata hun
lekin daftar mein meri marzi ka kaam nahin hota
main kaghaz par KHwab aur dukh ek sath likh kar
ghar lauTta hun
ghar ki be-tartibi aur unghti hui diwaren
mera istiqbaal karti hain
main bistar par sone ke liye lauTta hun
aur jagta rahta hun
wo
Diary mein KHud-saKHta dukh likhti hai
aur sukun se so jati hai
Nazm
KHud-saKHta dukh
Ali Sahil