zindagi nach ki har lamha hai jannat-ba-kanar
dekh ye lab hain ye aankhen ye gulabi ruKHsar
phir na aaegi palaT kar teri duniya mein bahaar
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
ek angDai jo li khul gain kali zulfen
phir mujhe khinch rahi hain ye ghaneri palken
dekh haijaan se larzan hain ye aariz ki ragen
aaj us jins-e-giran-bar ko arzan kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
dekh wo honT hile hath uThe saz baje
dekh pazeb ki har lai pe sitare chaunke
aasmanon pe farishton ke wuzu TuT gae
aaj masum KHudaon ko bhi mehman kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
raat kuchh bhig chali aur jamahi aai
jhilmilati hui shamon ki ziya kanp gai
rakh de ye aatish-e-sayyal ki phir aag lagi
aaKHiri bar har ek dard ka darman kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
kya gharaz waqt ke mathe pe shikan hai ki nahin
meri mahbub kalai mein rasan hai ki nahin
tera aanchal hi shahidon ka kafan hai ki nahin
har haqiqat ko usi KHwab mein ghaltan kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
Nazm
KHud-kushi se pahle
Akhtar Payami