kar chuka hun aaj azm-e-aKHiri
sham se pahle hi kar deta tha main
chaT kar diwar ko nok-e-zaban se na-tawan
subh hone tak wo ho jati thi dobara buland,
raat ko jab ghar ka ruKH karta tha main
tirgi ko dekhta tha sar-nigun
munh basore rahguzaron se lipaTte, sogwar
ghar pahunchta tha main insanon se uktaya hua
mera azm-e-aKHiri ye hai ke main
kud jaun satwin manzil se aaj!
aaj main ne pa liya hai zindagi ko be-naqab,
aata jata tha baDi muddat se main
ek ishwa-saz o harzah-kar mahbuba ke pas
us ke TaKHt-e-KHwab ke niche magar
aaj main ne dekh paya hai lahu
taza o raKHshan lahu,
bu-e-mai mein bu-e-KHun uljhi hui!
wo abhi tak KHwab-gah mein lauT kar aai nahin
aur main kar bhi chuka hun apna azm-e-aKHiri!
ji mein aai hai laga dun ek bebakana jast
us dariche mein se jo
jhankta hai satwin manzil se ku-e-baam ko!
sham se pahle hi kar deta tha main
chaT kar diwar ko nok-e-zaban se na-tawan
subh hone tak wo ho jati thi dobara buland
aaj to aaKHir ham-aghosh-e-zamin ho jaegi!
Nazm
KHud-kushi
Noon Meem Rashid