KHud-kushi ke pul par
samundar ki lahron mein bahti
fasurda o nakaam
jismon ki ruhen
bulati hain mujh ko
chale aao har gham se daman chhuDa lo
miTa do
fana hone wale badan ko miTa do
fana se na Darna
yahi asl mein zindagi hai
isi mein haqiqi KHushi hai
samundar ki lahron mein
sayyal ruhon ke
giton mein behad kashish hai
ye dil chahta hai
ki main ja milun un se
un sa hi ho jaun
par main unhen kis tarah ye bataun
ki ai iztirab-e-musalsal ke girdab mein qaid ruho
mujhe tum se hamdardi hai
pyar hai
main KHud chahta hun
man o tu ki sari fasilen phalagun
magar kya karun
kuchh muqaddas se rishte
dua-go si aanhken
mujhe yaad aati hain
chup-chap ghar lauT aata hun main
un hasin pyare logon ki KHatir to
jina paDega
ye zahrab pina paDega
Nazm
KHud-kushi ke pul par
Faheem Shanas Kazmi