tai hui thi ek mulaqat railway-Track par
lekin rail-gaDi ka engine musalsal khansta raha
platform number aaKHiri par
aur phans gae musafir ek dusre ki galiyon mein
so yak-tarfa rahi mulaqat
khiDki se bahar pukar raha tha aasman
magar chiTKHini aur frame ne jakaD liya
ek dusre ka hath
aur habs baDhta gaya
logon ki aamad-o-raft ke sath
chulhe se der tak aati rahin
dhunki hui aawazen
aur rangin chehre wali news-caster ne
dohrai wahi basi KHabar
ki sardi ki shiddat ke bais
mahngi ho gai hai aag
is liye parhez kiya jae aurten jalane se
pul par izhdiham tha traffic ka
lekin kisi hadse ko dikhai nahin di
hamari surat
aur hum niche utar aae chor darwaze se
dariya ko KHali dekh kar
apni miad puri kar chuki thin
nind ki tamam dawaen
is liye zabt kar li gain
aur KHali stores mein taliyan piTti rahin
sar-dard ki be-asar goliyan
mumkin hai phir se muntazir ho izrail
railway-track par
lekin hum sasti kitabon ke ambar se
talash kar chuke hain
maut ke manzar ke baad
likhe jaane wala qimti nusKHa
Nazm
KHud-kushi karne ka agla mansuba
Sidra Sahar Imran